KHULAFA E RASHIDEEN per likhi gai 1 behtreen kitab jis k musannif hain "Jalaluddin Ahmed Mujadadi" hain aur ye kitab bohat se syllabuses main b shamil hai.
is kitab main say 1 waqya parhye
"Hazrat abu bakar siddique saray sahaba main sab say ziada bahdur thay.
allama bzar (rehmatullah) apni masnad main tehreer farmatay hain k hazrat ali (radi allah)may logon say daryaft kia k btao sab say ziada bahadur kon hai ....? un logon ne kaha k sab say ziada bahadur to ap he hain.
hazrat ali (radi allah) ne farmaya : main to hamaisha apnay jor walay say larta hun phr kesay main bahadur huwa.tum log ye btao k sb se ziada bahadur kon hai ...? logon nay arz ki k ham ko naai maloom hai.ap he btayen.
hazrat ali ne farmaya k sab say ziada shuja aur bahadur hazrat abu bakar siddique (radi allah) hain.suno ! jangay badar main ham logon nay huzur paak (sallallahu alaihi wa alayhee wasallam) k liye 1 jhonpra bnaya tha ta k gardo ghubaar aur suarj ki dhoop say huzur (sallallahu alaihi wa alayhee wasallam) mehfooz rhain to hum ne kaha k rasool (sallallahu alaihi wa alayhee wasallam) k sath kon rhay ga ? kaheen aisa na ho k in per koi hamla kr day to KHUDA KI QASAM : is kaam k liye sawye hzrat abu bakar siddique (radi allah) k koi agay nai barha."
No comments:
Post a Comment